Moi....

My photo
This blog has been written for a special person.A person who has made a difference in my life.Someone who loves me a lot and someone who i am crazy about..

The Real You...

When the sun shines on your face
The shadow that forms is not just you
But a miracle happens everytime it does
Cause its someone else but you

I tried to read it from far but all in vein
No book of physics explained the same
How could this have happened it aint true
But possible cause its you

Reached towards it and I was taken aback
Wanted something to hold on to a stick or a shack
My eyes popped out like never before
Oh I wish i could get some more

Went close only to find it aint a myth
Got scared and wished i had a scythe
But realised it wont harm me at all
and definitely not let me fall

The secret has unveiled
Its an angel that forms behind you
Smiling all the way walking right behind
Making everyones wishes come true



straight from my heart...

Trust Him...

The most beautiful people on this earth
are the ones God loves the most
He takes care of them always
becomes the best possible host

Even He likes to play mischief
with the people he loves and care
you may question His existence
But He is always there

He will give you pain to fight
He will give you sorrows and hives
But along with it He doesnt forget to give
The strength to face it and thrive

You my dear are one of those
who He chose to be friends with
To give you all His love, care and happiness
Believe me.. This is not a myth



straight from my heart...

Feeling love...

Nashile hothon ko choom ke
Bhar loon tumhe apni baahon mein
Woh nasha kabhi na utare
Kho jaaon tumhare aaghosh mein

Chookar tumhare jism ko
Jal jaaonga ek din
Raakh bhi bujh naa paayegi
Jiyun kaise tumhare bin

Har lamha Yaad karun us pal ko
Pehli baar jab chuaa tha tumhein
Kaapti hui nazron ko choomkar
Apna banaya tha tumhein

Raat ko jab ek hue 
Do jism se ek jaan tak
Dil ki jwaala bujh na paayi
Chaand ke bujhne tak

Gardan pe us kaale Til ko dekhke
Angaare uthti hai is dil mein
Khoon bhi ho jaata hai dugana
Zoron se dhadakta hai seene mein

Badan ko gila karke 
Thande Jal se tum jab nahate ho
Pee loon paani ki har ek boond
Mann hota hai tumse Jud jaane ko

Thandi mein bhi jab
Aata hai Badan pe pasina
Pyar karun tumhe din Aur raat
Chahe koi bhi lage mahina

Galey lagkar kiya tha vida
Ab dobara na hogi Ye galti
Ab jab aaoge Tum mere paas
Jaane doonga tumhe nahi jaldi






straight from my heart...

Unanswered questions...

Kaise kahein tumse Kitna chahte hain Hum tumhein
Tum na samje they kabhie na samjha paayenge hum tumhein

Kai dinon se yeh baat hai poochni
Kya doge Tum saath mera
Kya banoge Tum sahara mera
Kya chaloge mere saath kadam se kadam
Kitne karun Ab main jatan
Kitne karoge Tum Ab sitam

Nahi milta hai koi jawaab 
Toh khud hi ko behela leta hun
Kehta hun mere Mann mein
Apne jazbo ko chipa leta hun

Tumhari hansi ki vajah banna chahta Hun
Gum ko door karne ki dava banna chahta Hun
Na banu main kabhi tumhare aansoon ki vajah
Tumhein hamesha muskurate dekhna chahta Hun

Zinda Hun bus tumhare liye
Ho jaaye Ye tamanna poori
Ho jaaye Ye sapna sach
Laa doon kadmon mein kainath saari

Chubta hai mujhe bhi jab tum rooth jaate ho
Dil hai mera koi patthar nahi
Nahi haar maanta jut jaata Hun manane mein
Jab tak kar na doo sab kuch sahi

Tum to bhool jaate ho apni marzi se
Par nahi bhulate Kai baatein
Jo Yaad rakhni chahiye 
Woh yaad nahi tumhein yaadein

Kabhie kabhie Lagta hai
Ho Gaye Tum bus mere
Kuch hi pal mein na jaane kyon
Kar dete ho mujhe paraye

Aazmaalo mere pyar ko
Chahe maang lo jaan Meri
Par Itna waqt na lagana 
Ki beet jaaye umra saari

Ruthna manana to chalta hi rehata hai
Warna zindagi mein rakha hi kya hai
Gum ke baad Khushi ko aana hi aana hai
Muskurake jeena yahi raaz purana hai





straight from my heart...

I never Lie...

jhooth bola hai maine
aaj main kabool karta hoon
nahin kehni thi tumse ye baat
aaj mai kabool karta hoon

kaha maine tumse ki jaa raha hun kahin aur
par aana tha mujhe tumhare dusre ghar pe
nahin batani thi ye baat tumhe
kadam rakhne they bin bataye tumhare dar pe

kaha maine tumse ki mauj karna hai mujhe
par aana tha mujhe tumhare jasn mein
chipaana zaroori tha is baat ko
kyonki bichane they phool tumhari swagat mein

kaha maine tumse ki mareez ko dekhna hai
par deni thi tumhe woh cheez jo yaad dilaye meri
bahut baar bol gaya main tumhe
par chup rehana tha zaroori

aaj phir ek jhooth bolunga
nahi aati hai yaad har pal tumhari
lekin kyon bolu mein tumse jhooth ab
jab sach hai ye baat saari



straight from my heart...

What I see ...

hothon ki woh hansi kahin jaane na doonga
tere sapno se badhkar aur kuch na hai mere liye
kuch khaas nahi keh raha aaj mai
bus kehna chahata hun kavita ke zariye

naak pe gussa jab chad jaata hai
jab sote ho tum nanhe bacche ke jaise
to lagta hai aaj to mai shahid ho gaya
dil pe khanjar lag gaya ho jaise

kyon woh nigahein hamesha mujhe satati
lagta hai woh kuch mujhse kehna hai chahti
palkon pe rakhkar tumhein taare laa doon
ek yeh khwasish jo meri poori ho jaati

kaanon mein woh nai nai baaliyan
jinhe dekh kar chaand bhi sharma jaaye
kisi tarah mein nazrein pher loon
varna mere hosh kahin gum na ho jaaye

ghungrali zulphon ki mehekti khushboo
dewana bana deti hai jab aati hai chehare pe
ek ungli se uthakar jab ghuma deti ho
to tak jaati hain meri aankhein un adaaon pe

chehare ki yeh ronak kabhi na mite
ye vaada karta hoon mai aaj tumse
muskurakar jeeyo bus yahi tamanna hai meri
meri khushi hai tumhari khushi se



straight from my heart...

Good will follow the bad ...

aaj mujhe ye poochna hai khuda se
kya bigaada hai tumne kisika
jo hamesha  sab ka bhala chahti hai
dil dukhaya tumne usika

kyon ye naa insaafi kari usne
kyon diya tumhe woh dard mastishk ka
kya bigaada tha tumne
jo diya tumhe aasoon gam ka

jaag kar kuch kar bhi na paayi tum
neend bhi kahin goom ho gayi
na bhaya kuch khana tumhe
na jaane tum kab so gayi

aasha karta hun ki ab tum savera dekho
mauj mein utho aur bhool jao beeta hua kal
khuda ne kaha hai mujhse
ab dega woh tumhe pyar bhare suhaane pal



straight from my heart...

I miss you ...

yaad aati hai tumhari har pal
saamne hote hue bhi na kuch keh paata hun main
dekh kar hi ji bhar lena padta hai
par kabhi kabhi maayus ho jaata hun main

jee chahta hai bus abhi isi wakt tumhe apna banane ko
nahi rok paata hun is nanhe dil ko
jee machlata hai har wakt mera kyon
is baat ka koi hal main poochon kisko

fitrat mein nahi mere tumhe chot pahuchaana par main bhi ek insaan hun
tum karo ek sawaal apne bhagwan ko
kya mujhe nahi zaroorat jeene ke liye pyar ki
jaise paani ki zaroorat ek pyaase ko

aaj kal kar raha hun main
apne aap se hi baatein pyaar ki
har ek pal sadi lagne laga hai
sochoon mein kab mitegi yeh ghadi intezaar ki

jab hum nahi hote tumhare paas
to kya tum bhool jaate ho woh pyar bhari baatein saari
ek sawaal aapse poochna chahta hun mai aaj
kya tumhe nahi aati yaad humari



straight from my heart...

Everything happens for a reason..

Na hoti woh
To kaisa hota
Na hoti woh to
Kaisa hota

Na hum milte doston ke zariye
Na hoti woh raatein suhani
Na hota mujhe pyar pe yakin
Na hoti woh meethi baatein purani

Na hum milte station pe us din
Na hoti aankhein char humari
To milte na dobara hum
Gar Khuda na deta humein bimari

Phir baatein hui hoti hi rahi
Waqt ka pata hi na chala
Din hue they bahut kam
Par laga purana yaar mila

Naa sunne ke liye tayyar they hum
Hosh kho hi chuke they Hum
Dil behaal ho Gaya jab kaha tumne
Saath honge hum Aur tum

Itni galatiyan karke Aaj yahan tak hai pahunche
Na maange mila pyaar tumse
Aur kuch na maango main bus Yahi maango
Kya Vaada nibhaoge humse

Na hoti woh
To kaisa hota
Na hoti woh to
Kaisa hota


straight from my heart...

Never give up


lou u too..
for watevr u are
for watevr u r
for watevr u ll be
for watever u ll be

its jus this deep blue ocean
that sepates u and me
wat binds us is lou
and lou is wat i feel
for watever scars we give
lou will help it heal
take time to think
take time to believe it
but m for sure of one thing
u will also feel it

cause i
lou u too..
for watevr u are
for watevr u r
for watevr u ll be
for watever u ll be

when the times are hard
then the clouds start pouring
you will see me besides you
holding your hand and caring
when your eyes are wet
you give up soon my dear
but whatever it is i wanna let you know
we ll make it work, no fear

cause i
lou u too..
for watevr u are
for watevr u r
for watevr u ll be
for watever u ll be




straight from my heart...

It is not love that is blind, but jealousy

Muskilein toh aayengi
Yahi to hai zindagi
Par nahi haarenge hum
Ye hai hamari bandagi

Kabhi socha na tha
Ki is mod pe main aaonga
Shak karna padega mujhe
Itna neeche gir jaaonga

Shayad yeh bhi hai ek
Mere pyar ki kasauti
Par nahi chahiye ae Khuda
Mujhe aisi chunouti

Itna sharminda hu Mai Aaj
Pata nahin Ye Maine kyon kiya
Shak ki dhar par
Apne zameer ko maar diya

Khushi hai ki aaj
Tumne Phir mujhe sambhal liya
Aisa karke Phir tumne
Apne pyar ko jeeta diya

Muh mod liya tha Nazrein jhuka li thi
Haath jodkar maafi maange Ye bechara
Vaada karta hun tumse
Yeh na hoga dobara


straight from my heart...

Get up Get going..

kaali ghaneri raat mein
chandni khil jaayegi
tujhe andhero mein kahin
roshni mil jaayegi

chal akela path par
manzil ki or badhta ja
raaston ke kaate
hasi se paar karta ja

tu akela nahi hai pyare
hum tumhare saath hain
khushi badhane or gum kum karne mein
hum aapke paas hain

har kisi ki baat ka
na lagaana tum bura
duniya ko kaam kuch nahi
tum karo apna dharma poora

koy kuch bhi keh le
karne do unhe tumhari ninda
jagao apne aatmvishwas ko
karo usse phir se zinda

gum mein hamein shaamil karo
baaton humse tumhara pyar
kuch khona nahi hai is duniya me
jab jeene ke din ho char

saaye ke jaise
hum chalenge tumhare saath
raat ke andhere me
ban jaaayenge tumhare jazbaat

saaya kabhi shikayat nahi karta
naahi saaye ko aata hai krodh
maafi maangke saaye ko sharminda na karo
ye kar lo tum aaj bodh

tumhari kaamyaabi se
hum kabhi na honge jal kar raakh
hum to aapke saaye hain
hum bhi to honge kaamyaab

saath nibhana tum
humein chod na dena tum
gar bhatak jaaoge tum raah
phir bhi saath honge hum aur tum


straight from my heart...

Without you....

aaj tha din bada beshumaar
bahut log mile but phir bhi kyon aakehn thi bekaraar
kar rahi thi wo kisi ka intezaar
phir kyon na aai tum jaanebahaar

dusron se bahut baatein ki
hasi khusi aur gum ki bhi
par nahi mila woh apnapan kisimein
kyonki aa rahi thi yaad hamaare yaar ki

na bhaya wahaan ka paani
na bhayi wahaa ki hawa
pet to bhar liya humne akele
na jaane tum they kahaan

gum ke nashe mein hue log behaal
kuch pee rahe they doston ke saath
hum ne madira ko dekha tak nahi
tumhare bina peene mein kahan woh baat

ghar laute hum aadhi raat ko
aas lagaaye baithey hain ki bityayenge pyar ke do pal
itna intezaar na karvaiye
ki ho jaaye kal


straight from my heart...

Incomplete...

Kuch baat reh gayi
Aaj adhoori
Kar na paaya main
Use poori

Kasam di thi maine tumhe
Chod ke na jaana mujhe
Par Aaj Jo hua
Use main bhula na saka
Tum bin bataye chale Gaye
Main Apne aap ko rok na saka

Raah bichaye baitha hun
Ki Ab tum aaoge
Aakar mujhe apni baahon mein lekar
Mujme sama jaaoge
Par Tum na aaye
Ye main dekh na saka
Apne aasuonko
Main rok na saka

Nivaala to kha liya tha
Mithai bhi kha li thi
Par Ab samaj mein aa raha hai
Khaate wakt hichki kyon aa Rahi thi
Par Tum na aaye
Ye main dekh na saka
Apne aasuonko
Main rok na saka

Yaad jo kar rahe they tum
To do pal Intezaar Kar lete
Humne bhi kiya hai bahut
Tum paanch minat to kar lete
Par Tum na aaye
Ye main dekh na saka
Apne aasuonko
Main rok na saka

Phir jab gyaat hua mujhe
Ki thak gaye they tum
Chain pada is dil ko
Bhula diye maine Apne gam
To kya hua Tum na aaye
Aasha hai tum dobara aaoge
Phir se mere kareeb aake
Dooriyan mita jaaoge
 


straight from my heart...

The Wait...

Aaj tumhe Ye baat kehni hai
Ye thaan liya hai maine
Ab na mujhse chipaye chipega
Ye jaan liya hai Maine

Roz din dhalne ki
Prateeksha main karta hun
Par Tum kya jaano mere dil ka haal
Tumhe kehne se ab main darta Hun

Tumhaara suraj ugta hai
Aur laata hai mere liye raat
Zara si der Jo ho gayi tumhe
Tum kya jaano mere jazbaat

Nisha ke swaagat mein
Hum Phool liye khade hain
Suraj ko keh diya hai alvida
Par us se hum khafa nahi hue hain

Taaron se kar li hai dosti
Ab un ke saath hai uthna baithna humara
Padhai to hoti hi hai
Aur baatein bhi kar lete hain Zara Zara

Aur jaise Tum uthte ho
Angadaiee jab lete ho
Kuch bhi karne ke pehle
Shubh prabhat jab Kehte ho
To yun Lagta hai ki
Ab shuru hua mera din
Ab khatm hua mera intezaar
Ab alvida kehna padega Un taaron ko
Kyonki as Gaya hai mera pyaar


straight from my heart...

Mesmerized by your love...

Ek jhalak teri hansi ki
Jo mujhe na mil jaaye
Khuda Kasam mujse
Jeeya na jaaye

Woh hothon se Apne
Kalam ko dabana
Main to is Ada ka
Ho Gaya dewana

Jab lete ho tum
Masti bhari angdaaiyan
Jee chahta hai
Bus ab mita du Ye dooriyan

Jab Tum dekhte ho
Un nashili nigahon se
Pee loon us nashe ko
Aur Bhar loon baahon mein

Woh leharaati hui lat
Un hothon ki pukar
Har wakt aaye yahi khayaal
Kaise karun tumse aankhein chaar

Intezaar kiya tha
Intezaar karenge
Imtihaan to kya
Hum jaan bhi de denge


straight from my heart...

A poem to wish you good morning


Tumhe chookar Maine Ye jaana
Ki khoobsurat ho tum
Mann ke sacche ho tum
Tum ho meri jaan e tammanna

Pyar ke dhai akshar Maine seekhe hain tumse
Tumse mili mujhe gum hui Meri manzil
Aaj Gar main Khush Hun to keval aap ki vajah se
Ghayal kiya hai apne mera chota sa dil

Samandar ki lehron se aati hain yaadein
Yadon main bus Gaya hun main aap ki raah mein
Is raah ko bhi pata nahi ki Uski jannat hai kahaan
Main to dooba Hun aapke pyar ke sagar mein

Phool khilte hain maali ke pyar se
Bhavre aaten hai phoolon ke bahaar se
Bus ek aavaaj ki Doori hai
Hum daude chale aayenge aapki pukar se

Na koi vajah hai na hai koi aarzoo
Phir bhi mehakti hain tumhari kesuon ki khushboo
Bus ek hi hai khwaish is naadaan dil ki
Karun zindigibhar tumse guftagu

Aaj is mod par laakar tumne Hamein kiya hai behaal
Shayad yahi hai tumhare pyar ka kamaal
Hum to ho Gaye hain fida tumhari ada pe
Aur kitna karoage mujhe intezaar


straight from my heart...

Apologies...

Meri jaan e tamanna
Mujhe maaf karna
Maine diya nahi koi bahana
Kisi aur se nahi mera rishta purana

Tum se milke Maine hai jaana
Maine tumse kuch na chipana
Convenience kehke mujhe excuse nahi dena
Kyonki maine Asliyat mein nahi kuch kiya

Aaj mujse na pani piya gaya
Na Gaya hai pet me el anna ka Dana
Mujse nahi dekha jaata ab
Tumhe yun ruthe hue dekhna

Pichli baar khata hui thi humse
Ye Maine hai maana
Uski maafi maangi thi apse
Is sach ko nahi Tum thukrana

Yaad aate hai har pal
Tumhare saath beetaya hua har ek fasaana
Jhootha pyaar kehke
Nahi Tum use bhoolana

Main chahta Hun tumhara saath
Har raah pe har mod pe
Nahi hoti hai humse kuch padhai
Gar Tum humse roothey

Aap bhi humein chahte hain
Ye jaante hain aap khud
Phir kyon gusse ki aad mien
Kehte ho humse jhooth

Yaad Aati hai woh samundar ke kinaare pe
Baithke bithaye pyar ke pal
Yaad aate hain woh
Suhane safar ke pal

Gar Tum humein chahte hi nahi
To Itna door hum aate hi nahi
Humare saath apni zindagi ke
Tum woh lamhe guzaarte nahi

Meri khamoshi ko Meri
Haar na samajna
Karta hun tumse bey-intiha pyar
Ye sach ko jhooth na samajna


straight from my heart...